pather bana dia mujhy
rony nahi diya
Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Diya
Damaan Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Dia
Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahain
Shaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi Dia
Ankhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki Lehar
Palkon PeKoi Khoawab Perone Nahi Dia
Dil Ko Tumhare Naam Ke Ansoo Aziz Thay
duniya Ka Dard Dil Mein Samone Nahi Diya
Nasir Yoon Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke
Mele Mein Is Jahan Ke khone Nahi diya
Tumhe Ishq Ho Khuda Kare
Tumhe Ishq Ho Khuda Kare
Koi Tumko Us Se Juda Kare
Tere Hont Hansa Bhool Jain
Teri Annkh Mein Nami Raha Kare
Tujhay Hijar Ki Woh Jhari Lage
Tu Milan Ki Har Pal Dua Kare
Tere Khoawab Bikhrein Gali Gali
Tu Bhi Kirchi Kirchi Chuna Kare
Tujhay Ishq Par Phir Yaqeen Ho
Isse Tasbiyon Mein Parha Kare
Mein Kahoon Ishq To Dhong Hai
Aur Tu Nahi Nahi Kaha Kare.
Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamanay mein meray naam say badnaam to hai !
Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai !
Meray hissay mein koi jaam na aaayaa na sahi,
Teri mehfil mein meray naam koi shaam to hai !
Dekh kar log mujhay naam tera letay hain,
Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai !
Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko `Sabir',
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai !
Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai !
Chaha tu bohut tha lekin wo mila hi
nahi,
Chaha tu bohut tha lekin wo mila hi nahi,
Laakh koshish ki mager yeh fasla mita hi nahi,
Na jany zamany ny mujboor is qader ker diya,
Ky wo meri kisi sada pay thera hi nahi,
Mien tamam ter koshishoo ky bawajoud har gaai,
Wo usay mil gaya jis ny is ko manga hi nahi,
Her ik say poucha tery na milny ka sabub,
Her ik ny kaha wo tery liye bana hi nahi,
Itni shiddut say chaha tha us ko,
Is duniya may shayed wafa ka sila hi nahi
kia hoa jo tumhara sath nahi
Kia hoa jo tumhara sath nahi
Mere hatoon mei tumhara hath nahi
Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat mei zarori mulaqat nahi
Mei sari umer tarsa hon chahat kay liye
Mere naseeb mei shayad yei soghat nahi
Iss andaaz se bikher ker phir simat na saka
Mujhey samaitne wala hi koi haath nahi
Jis ki dosti peh naz thaa, wo dost bhi gaya
Kis qarb se kaha SAHIL ne koi baat nahi
Sukun mil gaya aaj muje badnaam ho kar"
Sukun mil gaya aaj muje badnaam ho kar
tere har ek ilzaam pay yuN bezabaan ho kar
kya hua gar bulaya muje beizzat karne ke liye
khush hu main teri mehfil me mehman ho kar
log parh hi lenge mohabbat teri aankhoon me
chahe karle lakh inkar tu anjaan ho kar
ilzaam muj par lagakar khud roye ja raha hai
kya payega mera hamdard shar e aam ho kar
mil to gaya suboot muje teri mohabbat ka
ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar
YEH ZINDAGI
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
KYA KARE....
Kaaton se bhara mera aashiyaana ho gaya hai
Phoolon ko dekhe to ek zamaaana ho gaya hai
Hansi uski sun kar hoti thi subah meri
Khamoshi se aaj kal dostaana ho gaya hai
Chanchal si aahat uski aati hai khwabon mein
Sona mere liye to bas bahaana ho gaya hai
Thi zinda meri basti uske eh-do-karam se
Bichadne ke baad to ye viraaana ho gaya hai
Kehte hai man ke peena chhod de
Jabki khali mera paimaana ho gaya hai
Sunaata tha haal-e-dil zamaane ko pehle
Ab to ye kissa bhi puraana ho gaya hai
Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay
Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay
Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay
Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay
Mai Kia Hon, Kis Jagah Hon, Mujhay Kuch Khabar Nahi
Hain Aap Kitnay Duur Zara Sada Dijiye Mujhay
Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash'heer Jaa Baja
Mai Maanta Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhay
Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhay
Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida
Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay
Jaltey Dinon Mei Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mei Laga Dijiyey Mujhay
Yun To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon To Hawa dijiye Mujhay
TuM MeRi Ho,,,,,,,,,,
Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab...
Is rangein duniya mein udasi ka sabab...
Is terha toot kay chahne ka sabab...
yun apne dil mein Basane ka sabab...
har lamha us ko sochne ka sabab...
apne naam Se yun jorne ka sabab...
bahoon mein rakhne ki tamana ka sabab...
labon se choone ki tamana ka sabab...
juda ho janay kay dar ka sabab...
kho janay kay dar ka sabab...
bichar janay kay dar ka sabab...
bhool janay kay dar ka sabab...
kia kahoon mein...kia kehta
bas yahi keh saka...Kay
tum meri ho
mujhay tum se mohabat hai
zïñdägï äß ßë wäfä §ï lägtï häÿ !
Pass reh ker Juda si lagti hai
Pass reh ker Juda si lagti hai
Zindagi Aab Bewafa Si Lgti Hai
Mein Tumhare Beghair Bhi Jee Loon Ga
Ye Dua Bud,Dua si Lagti Hai
Naam Is ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon ki Khata Si lagti hai
Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai
PYAAR Karna Bhi Jurm Hai Shaid
Aaj DUNYA khafa Si Lagti Hai
saal
beetey, dil se mere ja na paye tum
saal beetey, dil se mere ja na paye tum
sham ki tanhai mein phir yad aaye tum
Har subah paya tumhein khayalon mein apne pas
Raton ko khwabon mein mere muskaraye tum
Lagate ho mere apne jab tum jabase ho dur
Na jane kyon lagate the pahle kuch paraye tum
pyar ham se behisab tha
tumhein phir bhi
jane kyon ham se rahey nazarein churaye tum
jab talak
tum sath the shikway bhi sath the
kuch nahin ho ab mohabbat ke siwai tum
thak gaya hun zindagi ki rah mein "Aas"
kash mil jate kahin nazrein bichhaye tum.
Na main dil ki baat bata saka
Na main dil ki baat bata saka
Na main pass os ko bula saka
Na main dil ki baat bata saka
Wo hansi hansi main chal diye
K main haath tak na hila saka
Mujay keya howa mujay keya habar
Mujay kitna gehra khumar tha
Main khara tha os key hisaar main
Meray ird-gird ghubaar tha
Younhee sochta raha dair tak
Magar os ko kuch na bata saka
Na main pass os ko bula saka
Na main dil ki baat bata saka
Ye bhee theek hai wo chala gaya
Mujay band rastay pe choor kar
Ye bi theek hai...na wo ayega
Kabi buth anna ka tor kar
Wo juda be kese howa ke main
Koi rasm bhi na nibha saka
Na main pass os ko bula saka
Na main dil ki baat bata saka
Na meri dushmani kisi din say ab
Hai na dosti kisi raat say
Hai bacha hi keya jo wo le gaya
Mujay cheen kar meri zaat sey
Wo muqaam hi kuch ajeeb tha
Ke main khud ko bhi na bacha saka
Na main pass os ko bula saka
Na main dil ki baat bata saka
Wo hansi hansi main chal diye
Ke main haath tak na hila saka
No comments:
Post a Comment