Mere har khyal pe tu is kadar kaabiz hai
Tujhe yaad karna bhi mushkil lagta hai
Mere zehan me ek sawal ban ke rah gaya hai
Sawal karna bhi chhahun to mushkil lagta hai
Jaane kya pay tere khyal se mila hai
Namumkin bhi ab mumkin lagta hai
Tere naam se koo e dil yoon labrez hai
Khud apna guzarna bhi mushkil lagta hai
Safa dar safa taqdeer ne khel khela hai
Harf dar harf likhna bhi mushkil lagta hai
Koi vaayaz na raha mera na raha koi raqeeb
Aarzoo ke bhanwar se nikalna mushkil lagta hai
Tere ishq ki daulat se main itna bhar gaya hon
Aana mujhe apne khyal ka mushkil lagta hai

1 comment:
Wonderful beat ! I would like to apprentice while you amend your web site, how
could i subscribe for a blog site? The account helped me a acceptable deal.
I were a little bit acquainted of this your
broadcast offered vivid clear idea
Also visit my homepage: private Krankenversicherungen vergleichen
Post a Comment